Yeh Mana Tumko Pana iss Janam mein Mumkin Nahi
Par Tumhe Bhula diya jaye ye Zaruri to nahi
Tum bin Zindgi Adhuri hai Lekin ...
Adhurapan Mita diya jaye ye Zaruri to nahi
Karoge yaad ek din iss pyaar ki deewani ko....
chale jayenge jab hum vapas na aane ko,
Chalega jab mehfil mein zikr hamara koi....
tum bhi tanhai dhoondoge aansu bahane ko
tamam umar gujarish karte rahe jinse milne ko,
kabar par aaye hai meri ab mujhse milne ko,
shayad laga hai sadma unhe meri maut ka,
ro ro kar kahe rahe hai ab sath chalne ko.........
pyar prichay ko pehchaan bana deta hai,
pphool virano ko gulistan bana deta hai,
yaha aap biti kahe raha hoon parayi nahi,
dard aadmi ko insan bana deta hai.....